Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf2538916cc2189a8980662025b7b0ab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Mein Mauj Mauj Koi Sochne Laga - Farooq Muztar Poetry In English - Darsaal

Aankhon Mein Mauj Mauj Koi Sochne Laga

aankhon mein mauj mauj koi sochne laga

pani mein be-sabaat nagar Dubne laga

ek shaKH-e-rang hat se mausam ke chhuT gai

KHali badan ragon mein koi loTne laga

hai apne darmiyan koi fasl-e-narawa

dahliz pe khaDa mein kise sochne laga

wo rauzan-e-KHayal, sada, saegi saman

phir harf zahr zahr zaban gholne laga

main ek barg-e-KHushk kabhi ka asir-e-gard

phir kaun Dal Dal mujhe Tankne laga

main bolta raha to kisi ne nahin suna

main chup hua to sara nagar gunjne laga

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Mauj Mauj Koi Sochne Laga In English By Famous Poet Farooq Muztar. Aankhon Mein Mauj Mauj Koi Sochne Laga is written by Farooq Muztar. Read famous Poem Aankhon Mein Mauj Mauj Koi Sochne Laga for youth and Student by Farooq Muztar. Free Download Aankhon Mein Mauj Mauj Koi Sochne Laga in PDF.