Gul-o-gulzar Guhar Chand Sitare Bachche
gul-o-gulzar guhar chand sitare bachche
rang-o-bu nur ke paikar hain ye sare bachche
aaine hain ki damakte hue chehre in ke
aise shaffaf ki dariyaon ke dhaare bachche
kitne masum ke ye sanp pakaDna chahen
kitne bhole hain ki chhute hain sharare bachche
aane walon ko bata dete hain ghar ki baaten
kab samajhte hain ye aankhon ke ishaare bachche
KHud se das-bis baras aur baDe lagte hain
ghar banate hue dariya ke kinare bachche
ganw jata hun to chaupal ka ek buDha daraKHt
bahen phaila ke ye kahta ki aa re bachche
ab na wo khel khilaune na shararat 'faruq'
kitne KHamosh akele hain hamare bachche
(1574) Peoples Rate This