Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a5acb7e17267352d040ed42b7729b85f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin - Farooq Engineer Poetry In English - Darsaal

Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin

kisi ke bichhaDne ka Dar hi nahin

safar mein koi ham-safar hi nahin

bahut shauq ghar ko sajaane ka tha

magar kya karen apna ghar hi nahin

abhi dil mein raushan hai aisa diya

hawaon ko jis ki KHabar hi nahin

KHuda jaane kaisi KHata ho gai

duaon mein ab ke asar hi nahin

likhun zaKHm ko phul dil ko chaman

nahin mujh mein aisa hunar hi nahin

sunen bhi to kya aur sunaen to kya

koi dastan muKHtasar hi nahin

chalo aaj 'faruq' se bhi milen

kai din se us ki KHabar hi nahin

(1884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin In English By Famous Poet Farooq Engineer. Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin is written by Farooq Engineer. Read famous Poem Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin for youth and Student by Farooq Engineer. Free Download Kisi Ke BichhaDne Ka Dar Hi Nahin in PDF.