Aankh Ho Aur Koi KHwab Na Ho
aankh ho aur koi KHwab na ho
nazil aisa kahin azab na ho
kuchh to mahfuz rakhiye sine mein
zindagani khuli kitab na ho
sarf kije na is qadar KHud ko
lakh chaho to phir hisab na ho
is liye kaTta hun ye ghaDiyan
waqt ki chaal kaamyab na ho
gunj kaisi hai kohsaron mein
ye kisi chiKH ka jawab na ho
kya chamakta hai tapte sahra mein
dekh chhu kar kahin ye aab na ho
ye jalan piTh mein hai kyun 'faruq'
pusht par teri aaftab na ho
(1743) Peoples Rate This