KHushi Se Phulen Na Ahl-e-sahra Abhi Kahan Se Bahaar Aai

KHushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai

abhi to pahuncha hai aablon tak mera mazaq-e-barhana-pai

tere mufakkir samajh na pae mizaj-e-tahzib-e-mustafai

usul-e-johd-e-baqa ke bande buland hai zauq-e-KHud-fanai

KHalil mast-e-mai-e-junun tha magar main tum se ye puchhta hun

raza-e-haq ki chhuri ke niche hayat aai ki maut aai

jo qillat-e-sim-o-zar ka gham hai to aao qaisar ke jaanashino

tumhaari KHatir zara jhuka dun main apna ye kasa-e-gadai

baja tera naz-e-be-niyazi magar ye insaf bhi nahin hai

ki teri duniya mein tere bande buton ki dete phiren duhai

nadim tariKH-e-fath-e-danish bas itna likh kar tamam kar de

ki shatiran-e-jahan ne aaKHir KHud apni chaalon se mat khai

chalo ki 'faruq' mai-kade mein dimagh taza to pahle kar len

phir aa ke ahl-e-haram ko denge payam-e-tajdid-e-parsai

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Se Phulen Na Ahl-e-sahra Abhi Kahan Se Bahaar Aai In English By Famous Poet Farooq Banspari. KHushi Se Phulen Na Ahl-e-sahra Abhi Kahan Se Bahaar Aai is written by Farooq Banspari. Read famous Poem KHushi Se Phulen Na Ahl-e-sahra Abhi Kahan Se Bahaar Aai for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download KHushi Se Phulen Na Ahl-e-sahra Abhi Kahan Se Bahaar Aai in PDF.