Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e535af70cbde9ed6abcdd0348e5526a4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-e-walhana - Farooq Banspari Poetry In English - Darsaal

Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-e-walhana

jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana

mujhe KHud karega sajda tera sang-e-astana

rah-e-haq ke hadson ka na suna mujhe fasana

teri rahbari ghalat thi ki bahak gaya zamana

main jahan-e-hosh-o-irfan ba-libas-e-kafirana

ba-hijab-e-parsai tu hama sharab-KHana

tujhe yaad hai sitamgar koi aur bhi fasana

wahi zikr-e-ab-o-dana wahi fikr-e-taerana

meri zindagi ka mahwar yahi soz-o-saz-e-hasti

kabhi jazb-e-walhana kabhi zabt-e-arifana

tera jazba-e-rifaqat mera sath kaise dega

ki main zinda-e-kohistan tu halak-e-ashiyana

meri bazm-e-fikr mein hai yahi kashmakash azal se

kabhi chha gai haqiqat to kabhi jam gaya fasana

wo bajae aah 'faruq' abhi wah kar rahe hain

abhi dard se hai KHali ye nawa-e-ashiqana

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-e-walhana In English By Famous Poet Farooq Banspari. Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-e-walhana is written by Farooq Banspari. Read famous Poem Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-e-walhana for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download Jo Raha Yun Hi Salamat Mera Jazb-e-walhana in PDF.