Dil-e-iza-talab Le Tera Kahna Kar Liya Maine
dil-e-iza-talab le tera kahna kar liya main ne
kisi ke hijr mein jina gawara kar liya main ne
but-e-paiman-shikan se intiqaman hi sahi lekin
sitam hai wada-e-tark-e-tamanna kar liya main ne
niyaz-e-ishq ko surat na jab koi nazar aai
junun-e-bandagi mein KHud ko sajda kar liya main ne
wafa-na-ashna is sadgi ki dad de mujh ko
samajh kar teri baaton par bharosa kar liya main ne
mohabbat be-baha shai hai magar taqdir achchhi thi
mata-e-do-jahan de kar ye sauda kar liya main ne
mila to did ka mauqa magar ghairat ko kya kahiye
jab aai wadi-e-aiman to parda kar liya main ne
baDi daulat hai haq ke nam par daulat luTa dena
jahan mein phunk kar chandni ko sona kar liya main ne
kisi ke ek dard-e-bandagi se kya mili fursat
ki dil mein sau tarah ka dard paida kar liya main ne
tamasha dekhte hi dekhte un ki adaon ka
sar-e-mahfil KHud apne ko tamasha kar liya main ne
kisi ki rah mein 'faruq' barbaad-e-wafa ho kar
bura kya hai ki apne haq mein achchha kar liya main ne
(830) Peoples Rate This