Ba-roz-e-hashr Mere Sath Dil-lagi Hi To Hai

ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai

ki jaise baat koi aap se chhupi hi to hai

na chheDo baada-kasho mai-kade mein waiz ko

bahak ke aa gaya bechaara aadmi hi to hai

qusur ho gaya qadmon pe loT jaane ka

bura na maniye sarkar be-KHudi hi to hai

riyaz-e-KHuld ka itna baDha chaDha ke bayan

ki jaise wo mere mahbub ki gali hi to hai

yaqin mujhe bhi hai wo aaenge zarur magar

wafa karegi kahan tak ki zindagi hi to hai

mere baghair andhera tumhein sataega

sahar ko sham bana degi aashiqi hi to hai

ba-chashm-e-nam teri dargah se gaya 'faruq'

KHata muaf ki ye banda-parwari hi to hai

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-roz-e-hashr Mere Sath Dil-lagi Hi To Hai In English By Famous Poet Farooq Banspari. Ba-roz-e-hashr Mere Sath Dil-lagi Hi To Hai is written by Farooq Banspari. Read famous Poem Ba-roz-e-hashr Mere Sath Dil-lagi Hi To Hai for youth and Student by Farooq Banspari. Free Download Ba-roz-e-hashr Mere Sath Dil-lagi Hi To Hai in PDF.