Wo Basti Yaad Aati Hai
wo basti yaad aati hai
wo chehre yaad aate hain
wahan guzra hua
ek ek pal yun jagmagata hai
andheri raat mein unche kalas
mandir ke jaise jhilmilate hain
wahan basti ke us kone mein
wo chhoTi si ek masjid
ki jis ke sahn mein
mere ajdad ki peshaniyon ke hain nishan ab tak
usi ke pas thoDi dur par bahti hui ganga
mujhe ab bhi bulati hai
wo ganga jis ka pani
meri rag rag mein bahta hai
lahu ban kar humakta hai
mujhe ab bhi bulata hai
agar mano to wo man hai
na mano to faqat bahta hua pani hai
dariya hai
mujhe ab bhi bulata hai
(826) Peoples Rate This