Shahr-e-dost
wo shahr-e-dost bhi
ruKHsat hua ki jis ne sada
hamare dil mein khilae the chahaton ke gulab
KHumar baqi hai ab tak hamari aankhon mein
hasin lamhon ka jo us ke dam se raushan the
tumhaare baad bhi aaenge yun to sab mausam
bahut sataenge lekin har ek mauqa par
jo hote tum to
ye kaam is tarah karte
karenge yaad tumhein hum kai hawalon se
ajib shaKHs tha
kaDwi-kasili sun kar bhi
na tez bola kisi se
na wo hua naraaz
sajae rahta tha honTon pe chahaton ke gulab
bichhaD rahe ho to wada karo mere hamdam
kabhi jo guzro idhar se to bhul mat jaana
yahin milenge kisi mulsari ke peD tale
karenge baaten shrangar-ras ke dohon ki
karenge baaten bihaari ki naykaon ki
karenge baaten kisi ke rasile honTon ki
mahakti zulfon ki kajal ki us ki bindiya ki
lachakti shaKH se jismon ki
chand-chehron ki
bichhaD rahe ho to wada karo
ki aaoge
kabhi jo guzro idhar se to bhul mat jaana
tumhaare hijr ke mausam ki sabz chadar ko
main apne tan pe sajae
yahin milunga tumhein
(902) Peoples Rate This