Wo Na Aaega Yahan Wo Nahin Aane Wala
wo na aaega yahan wo nahin aane wala
mujh ko tanhai ka ehsas dilane wala
kya KHabar thi ki taras jaega tabiron ko
apni aankhon mein tere KHwab sajaane wala
apni tadbir ke anjam se na-waqif hai
haal taqdir ka auron ko batane wala
meri rag rag mein lahu ban ke rawan ho jaise
mere sae se bhi daman ko bachane wala
kaamyabi se bahar-haal KHushi hoti hai
hans raha hai mujhe diwana banane wala
bazm ki aur hai tanhai ki duniya kuchh aur
raat bhar rota raha din mein hansane wala
hama-tan gosh bana deta hai mujh ko 'faruq'
us ki baaton ka wo andaz lubhane wala
(876) Peoples Rate This