Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bda04375ab5ba9782def52008fa6432d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uske HonTon Pe Bad-dua Bhi Nahin - Farooq Bakshi Poetry In English - Darsaal

Uske HonTon Pe Bad-dua Bhi Nahin

us ke honTon pe bad-dua bhi nahin

ab mere waste saza bhi nahin

lafz KHamoshiyon ka parda hain

bolta hai wo bolta bhi nahin

main ne phulon ko khilte dekha hai

us ne honTon se kuchh kaha bhi nahin

ek muddat se sath hun apne

aur main KHud ko jaanta bhi nahin

hadse aam ho gae itne

muD ke ab koi dekhta bhi nahin

jaane kyun dil ki aankh roti hai

mere andar koi mara bhi nahin

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske HonTon Pe Bad-dua Bhi Nahin In English By Famous Poet Farooq Bakshi. Uske HonTon Pe Bad-dua Bhi Nahin is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem Uske HonTon Pe Bad-dua Bhi Nahin for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download Uske HonTon Pe Bad-dua Bhi Nahin in PDF.