KHuda Kare Ki Ye MiTTi Bikhar Bhi Jae Ab
KHuda kare ki ye miTTi bikhar bhi jae ab
chaDha hua hai jo dariya utar bhi jae ab
ye rose rose ka milna bichhaDna khalta hai
wo meri ruh ke andar utar bhi jae ab
wahan wo phul sa chehra hai muntazar us ka
kaho ye shair-e-awara ghar bhi jae ab
main apne-ap ko kab tak yunhi sameTe phirun
chale wo aandhi ki sab kuchh bikhar bhi jae ab
usi ki wajh se sare wabaal hain 'faruq'
badan ka qarz ada ho ye sar bhi jae ab
(765) Peoples Rate This