Kaise In Sachche Jazbon Ki Ab Us Tak Tafhim Karun
kaise in sachche jazbon ki ab us tak tafhim karun
ruThne wala ghar aae to lafzon mein tarmim karun
mujh se bichhaD kar jaane wale itna to samjhata ja
apne aap ko do hisson mein kaise main taqsim karun
ahl-e-siyasat banT rahe hain jaan se pyare logon ko
main shair hun sach kahta hun kyun un ki tazim karun
wo bhi zamana-saz hua hai tum bhi Thik hi kahte ho
meri bhi majburi samjho kis dil se taslim karun
tujh se bichhaDna qismat mein tha jina to majburi hai
soch raha hun ujDe ghar ki phir se nai tazim karun
koshish to ki lakh magar kuchh baat nahin banti 'faruq'
soch raha hun sara manzar lafzon mein tajsim karun
(1064) Peoples Rate This