Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5a798a2fd7951ea8684d547240178ee7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
BichhaDna Mujhse To KHwabon Mein Silsila Rakhna - Farooq Bakshi Poetry In English - Darsaal

BichhaDna Mujhse To KHwabon Mein Silsila Rakhna

bichhaDna mujh se to KHwabon mein silsila rakhna

dayar-e-zehn mein dil ka diya jala rakhna

palaT ke aaenge mausam to tum ko likkhunga

kitab-e-dil ka waraq tum zara khula rakhna

main chahta hun wo aankhen jo rose milti hain

kabhi to mujh se kahin hum pe aasra rakhna

badan ki aag se jhulse na jism ruhon ka

qarib aa ke bhi tum mujh se fasla rakhna

udas lamhon ke mausam guzar hi jaenge

kisi ki baat ka ab dil mein kya gila rakhna

jo chal paDe ho mare sath tapti rahon par

kahin utar ke phulon ki ye qaba rakhna

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BichhaDna Mujhse To KHwabon Mein Silsila Rakhna In English By Famous Poet Farooq Bakshi. BichhaDna Mujhse To KHwabon Mein Silsila Rakhna is written by Farooq Bakshi. Read famous Poem BichhaDna Mujhse To KHwabon Mein Silsila Rakhna for youth and Student by Farooq Bakshi. Free Download BichhaDna Mujhse To KHwabon Mein Silsila Rakhna in PDF.