Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f63da65a88d7e42ada21afc2223ec77b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Waqt Zindagi Ki Adaen Bhi Le Gaya - Farooq Anjum Poetry In English - Darsaal

Ye Waqt Zindagi Ki Adaen Bhi Le Gaya

ye waqt zindagi ki adaen bhi le gaya

qisse kahaniyon ki sabhaen bhi le gaya

us ne tamam shahr ko gunga bana diya

mere dahan se meri sadaen bhi le gaya

mausam laga ke zaKHm gaya shaKH shaKH par

peDon se phulon wali ridaen bhi le gaya

suraj ne Dubte hue hum ko saza ye di

jismon se raushni ki qabaen bhi le gaya

guzra tha apne shahr se rawan fasad ka

zalim mohabbaton ki kathaen bhi le gaya

'anjum' nirala chor hamein rah mein mila

jo dil ke sath hum se duaen bhi le gaya

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Waqt Zindagi Ki Adaen Bhi Le Gaya In English By Famous Poet Farooq Anjum. Ye Waqt Zindagi Ki Adaen Bhi Le Gaya is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Ye Waqt Zindagi Ki Adaen Bhi Le Gaya for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Ye Waqt Zindagi Ki Adaen Bhi Le Gaya in PDF.