Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f1f36c5e7e5b149d430caf372a23194c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tare Shumar Karte Hain Ro Ro Ke Raat Bhar - Farooq Anjum Poetry In English - Darsaal

Tare Shumar Karte Hain Ro Ro Ke Raat Bhar

tare shumar karte hain ro ro ke raat bhar

KHairaat-e-husn dijiye hum ko zakat bhar

dekho hamara sabr ki hum ne nahin piye

aansu hamare pas paDe the furaat bhar

sharminda ho rahi hain wafadariyan agar

zambil-e-e'tibar mein kuchh mumkinat bhar

rahmat jo teri baKHsh de hum ko to baKHsh de

palle mein apne kuchh bhi nahin hai najat bhar

wo beTa fatiha bhi nahin paDhta qabr par

jagi thi jis ke waste man raat raat bhar

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tare Shumar Karte Hain Ro Ro Ke Raat Bhar In English By Famous Poet Farooq Anjum. Tare Shumar Karte Hain Ro Ro Ke Raat Bhar is written by Farooq Anjum. Read famous Poem Tare Shumar Karte Hain Ro Ro Ke Raat Bhar for youth and Student by Farooq Anjum. Free Download Tare Shumar Karte Hain Ro Ro Ke Raat Bhar in PDF.