Jo BaiTho Sochne Har ZaKHm-e-dil Kasakta Hai
jo baiTho sochne har zaKHm-e-dil kasakta hai
ghazal kaho to qalam se lahu Tapakta hai
main ab bhi rota hun mahrumiyon pe bachpan ki
khilaune dekh ke dil aaj bhi humakta hai
faza mein KHauf-e-hawa bolne nahin deta
zamin pe aa ke parinda bahut chahakta hai
tumhaara lahja to dariya hai bahte pani ka
ye aag ban ke samundar mein kyun bhaDakta hai
dil-o-dimagh ke sab tar bajne lagte hain
naqab chehra-e-fitrat se jab sarakta hai
amir-e-shahr banaya gaya hai jis din se
hamare ghaw sitamgar bahut namakta hai
chamakne lagte hain 'anjum' tumhaari yaadon ke
wo aasman pe jab raushni chhiDakta hai
(904) Peoples Rate This