Is Qadar Mahw-e-tasawwur Hun Sitamgar Tera
is qadar mahw-e-tasawwur hun sitamgar tera
mujh ko ghurbat mein nazar aane laga ghar tera
nashsha-e-mai ki bujhi pyas na kuchh bhi afsos
nam sunte the baDa chashma-e-kausar tera
apne pamali-e-dil ka mujhe afsos nahin
dekh zalim na bigaD jae kahin ghar tera
wo bhi hain log jo ham-bazm raha karte the
hum to jite hain faqat nam hi le kar tera
jalwa-e-tur ko kuchh us ki nazar se bhanpa
jis ne dekha hai jamal-e-ruKH-e-anwar tera
zindagi us ki nasib us ke hain raaten us ki
jis ko ho jalwa-e-didar mayassar tera
hum ne koshish to bahut ki thi use lane ki
ai 'farogh'-e-jigar-afgar muqaddar tera
(852) Peoples Rate This