Dil Nahin Milne Ka Phir Mera Sitamgar TuT Kar
dil nahin milne ka phir mera sitamgar TuT kar
chiz ye aisi nahin juD jaegi jo phuT kar
aaj hai dil mein mere kal hai adu ki aankh mein
tujh mein bhar di hai ye aisi kis ne shoKHi kuT kar
apne beganon ki nazren paD rahi hain aap par
wah kya nam-e-KHuda nikli jawani phuT kar
us ka dushman se talluq us ka dushman se milap
sun raha hun aaj-kal jo kuchh ilahi chhuT kar
ab kahan nazzara-e-gul ab kahan lutf-e-chaman
ek aafat mein paDe hain hum qafas se chhuT kar
be-KHabar sota hai koi sej par aaram se
hichkiyan le le ke koi ro raha hai phuT kar
dil na pighle aur kis ka dil mera dil haif hai
naznin phir naznin tujh sa jo roe phuT kar
ye na manega na samjhae se samjhega kabhi
tujh pe dil aaya hai mera ai sitamgar TuT kar
yas-o-gham ranj-o-alam ne kar liya hai dil mein ghar
ai KHushi-e-wasl-e-jaanan aae din bhi phuT kar
uf re zauq-e-justuju allah re shauq-e-ku-e-dost
gard-e-rah pichhe rahi jati hai mujh se chhuT kar
KHak uDti hai dil-e-viran mein ab rakkha hai kya
yas sab kuchh le gai arman-o-hasrat luT kar
kyun satata hai 'farogh'-e-mubtala ko is qadar
dil nahin juDta nahin juDta sitamgar TuT kar
(767) Peoples Rate This