Janm Janm Ki Kahani
kuchh din pahle tak main kabutar thi
aankhen band kar ke sochti
ki duniya se billiyon ka wajud miT chuka hai
aur us se bhi pahle
main chakor aur titar ke darmiyan koi shai thi
subhan teri qudrat ki boli bolti thi
aur chandni-raat mein be-qarar rahti thi
jab main us se bhi pahle
kutiya thi to sara sara din
apne malik ke panw chaTti rahti thi
magar mere pyar ka ye sila mila
ki wo ek aur kutiya le aaya
is se pahle ke janm mein
main ek KHub-surat hirni thi
wo zamana sab se achchha tha
magar bahut jaldi guzar gaya
aur mujhe kutiya ban jaana paDa
hirni se pahle ka arsa
main ne KHargosh ban kar guzara tha
mujh se sab pyar kiya karte the
main bhi sab ko chahti thi
tab main narm narm hoti thi
aaj-kal main ek bakri hun
sochti hun
bahut ji liya hai
mera malik ek saKHt-dil aadmi hai
an-qarib wo kisi qasai ke hath
mujhe bech dega
aur log mera gosht
khate hue sochenge
dekhne mein to achchha tha
jaane kyun gala nahin
(684) Peoples Rate This