Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d4efcb2a99590ad6c70462a9a49248ca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Use Bhulne Ka Sitam Kar Rahe Hain - Fariha Naqvi Poetry In English - Darsaal

Use Bhulne Ka Sitam Kar Rahe Hain

use bhulne ka sitam kar rahe hain

hum apni aziyyat ko kam kar rahe hain

hamari nigahon se sapne chura kar

wo kis ki nigahon mein zam kar rahe hain

hayat-e-rawan ki har ek na-rawai

hum apne lahu se raqam kar rahe hain

bhali kyun lage hum ko KHushiyon ki dastak

abhi hum mohabbat ka gham kar rahe hain

kise dukh sunaen sabhi to yahan par

shumar apne apne alam kar rahe hain

suKHan ko siyasat ka zina dikha kar

tamasha ye ahl-e-qalam kar rahe hain

(1173) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Bhulne Ka Sitam Kar Rahe Hain In English By Famous Poet Fariha Naqvi. Use Bhulne Ka Sitam Kar Rahe Hain is written by Fariha Naqvi. Read famous Poem Use Bhulne Ka Sitam Kar Rahe Hain for youth and Student by Fariha Naqvi. Free Download Use Bhulne Ka Sitam Kar Rahe Hain in PDF.