Yaad Aaenge Zamane Ko Misalon Ke Liye

yaad aaenge zamane ko misalon ke liye

jaise bosida kitaben hon hawalon ke liye

dekh yun waqt ki dahliz se Takra ke na gir

raste band nahin sochne walon ke liye

aao tamir karen apni wafa ka mabad

hum na masjid ke liye hain na shiwalon ke liye

salha-sal aqidat se khula rahta hai

munfarid rahon ka aaghosh jiyalon ke liye

raat ka karb hai gulbang-e-sahar ka KHaliq

pyar ka git hai ye dard ujalon ke liye

shab-e-furqat mein sulagti hui yaadon ke siwa

aur kya rakkha hai hum chahne walon ke liye

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Aaenge Zamane Ko Misalon Ke Liye In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Yaad Aaenge Zamane Ko Misalon Ke Liye is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Yaad Aaenge Zamane Ko Misalon Ke Liye for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Yaad Aaenge Zamane Ko Misalon Ke Liye in PDF.