Wo Roz-o-shab Bhi Nahin Hai Wo Rang-o-bu Bhi Nahin
wo roz-o-shab bhi nahin hai wo rang-o-bu bhi nahin
wo bazm-e-jam-o-subu bhi nahin wo tu bhi nahin
na dil dhaDakte hain mil kar na aankhen jhukti hain
lahu ki gardishen ab misl-e-abju bhi nahin
kabhi kabhi ki mulaqat thi so wo bhi gai
teri nigah ka rang-e-bahana-ju bhi nahin
kab aaftab Dhale aur chandni chhiTke
kisi ko ab ye sar-e-sham justuju bhi nahin
bas ab to yaad se hi zindagi ibarat hai
kahan ka wada ki milne ki aarzu bhi nahin
ki jaise bhige paron se uDanen chhin jaen
dilon ki sozish-e-be-nam ku-ba-ku bhi nahin
wo jis ki garmi qayamat uTha rahi thi kabhi
usi badan ka jo kaTo to ab lahu bhi nahin
lagi hai tis baras se hamare KHun ki jhaDi
magar abhi shajar-e-dar surKH-ru bhi nahin
main sochta hun jien bhi to kis liye 'farigh'
ki ab to shahr mein pahli si aabru bhi nahin
(811) Peoples Rate This