Wo Raushni Hai Kahan Jis Ke Baad Saya Nahin
wo raushni hai kahan jis ke baad saya nahin
kisi ne aaj talak ye suragh paya nahin
kahan se laun wo dil jo tera bura chahe
udu-e-jaan tera dukh bhi koi paraya nahin
teri sabahat-e-sad-rang mein bikhar jaun
abhi wo lamha meri zindagi mein aaya nahin
tere wajud pe angDai ban ke TuTa hai
wo naghma jo kisi mutrib ne gungunaya nahin
nai-naweli zaminon ki sondhi KHushbu mein
wo chandni hai ki jis mein koi nahaya nahin
hum ek fikr ke paikar hain ek KHayal ke phul
tera wajud nahin hai to mera saya nahin
wo bab jis mein tawanaiyon ki KHushbu hai
fasana-saz ne 'farigh' kabhi sunaya nahin
(868) Peoples Rate This