Rang-dar-rang Hijabaat UThane Honge
rang-dar-rang hijabaat uThane honge
be-mahaba hamein sab jalwe dikhane honge
jin ko tariKH ki nazren bhi kabhi chhu na saken
batn-e-giti mein kai aise zamane honge
aaj tak shahon ki tahwil mein jo aa na sake
saikDon aise pur-asrar KHazane honge
pusht-ha-pusht se jo dast-nigar rahte hain
an-ginat aise bhi mazlum gharane honge
jin mein ghurbat ke asiron ko jagah mil na saki
wo falak-bos mahallat girane honge
jin mein dahqanon ki hasrat ka jhalakta hai lahu
hum ko wo gulshan-e-shadab jalane honge
nae andaz se chheDi hai ghazal 'farigh' ne
ab har ek lab pe baghawat ke tarane honge
(980) Peoples Rate This