Main Ki Ab Teri Hi Diwar Ka Ek Saya Hun
main ki ab teri hi diwar ka ek saya hun
kitne be-KHwab darichon se guzar aaya hun
mujh ko ehsas hai haalat ki majburi ka
bewafa kah ke tujhe aap bhi sharmaya hun
mujh ko mat dekh mere zauq-e-samaat ko to dekh
ki tere jism ki har tan pe lahraya hun
ai moarriKH meri ujDi hui surat pe na ja
shahr-e-viran hun magar waqt ka sarmaya hun
raushni phail gai hai meri KHushbu ki tarah
main bhi jalte hue sahraon ka ham-saya hun
ham-safar lakh meri rah ka patthar bhi bane
phir bhi zehnon ke dar-o-baam pe lahraya hun
nai manzil ka junun tohmat-e-gumrahi hai
pa-shikasta bhi teri rah mein kahlaya hun
phir numu pai hai ek dard-e-KHush-aghaz ke sath
dahr mein jurat-e-izhaar ka pairaya hun
umr bhar but-shikani karta raha aaj magar
apni hi zat ke kohsar se Takraya hun
dahr mein azmat-e-adam ka nishan hun 'farigh'
kabhi kohsar kabhi dar pe lahraya hun
(878) Peoples Rate This