Kuchh Nahin Garche Teri Rahguzar Se Aage
kuchh nahin garche teri rahguzar se aage
dekhna kufr nahin hadd-e-nazar se aage
KHud-farebi ke liye garm-e-safar hain warna
kya hai manzil ke siwa gard-e-safar se aage
mera aflak bhi taskin-e-nazar ho na saka
the wahi shams-o-qamar shams-o-qamar se aage
zindagi waqt ki diwaron mein mahbus rahi
koi parda na uTha sham-o-sahar se aage
aaj ke daur ka dawa hai ki anqa ke siwa
koi uqda nahin irfan-e-bashar se aage
qatre qatre ko taraste rahe sahra 'farigh'
jhum kar uTThe bhi baadal to wo barse aage
(858) Peoples Rate This