Kuchh Ab Ke Bahaaron Ka Bhi Andaz Naya Hai
kuchh ab ke bahaaron ka bhi andaz naya hai
har shaKH pe ghunche ki jagah zaKHm khila hai
do ghunT pila de koi mai ho ki halahil
wo tishna-labi hai ki badan TuT raha hai
us rind-e-siyah-mast ka iman na puchho
tishna ho to maKHluq hai pi le to KHuda hai
kis baam se aati hai teri zulf ki KHushbu
dil yaadon ke zine pe khaDa soch raha hai
kal us ko tarashoge to pujega zamana
patthar ki tarah aaj jo rahon mein paDa hai
diwanon ko sauda-e-talab hi nahin warna
har sine ki dhaDkan kisi manzil ki sada hai
(916) Peoples Rate This