Koi Manzar Bhi Suhana Nahin Rahne Dete
koi manzar bhi suhana nahin rahne dete
aankh mein rang-e-tamasha nahin rahne dete
chahchahate hue panchhi ko uDa dete hain
kisi sar mein koi sauda nahin rahne dete
raushni ka koi parcham jo uTha kar nikle
is tarah dar ko zinda nahin rahne dete
kya zamana hai ye kya log hain kya duniya hai
jaisa chahe koi waisa nahin rahne dete
kya kahen dida-waro hum to wo dariya-dil hain
kabhi sahil ko bhi pyasa nahin rahne dete
rahzanon ka wahi manshur hai ab bhi 'farigh'
sar-kashida koi jada nahin rahne dete
(1702) Peoples Rate This