KHirad Bhi Na-mehrban Rahegi Shuur Bhi Sar-garan Rahega

KHirad bhi na-mehrban rahegi shuur bhi sar-garan rahega

in aandhiyon mein mera junun-e-wafa magar zau-fishan rahega

badal sakegi na fitrat-e-sarkashi ko ye gardish-e-zamana

azal se jo aasman bana hai abad talak aasman rahega

ulajh ulajh kar mujhe hawadis ki tund lahron se khelne do

fasurda sahil ka KHushk mahaul mujh ko bar-e-garan rahega

abhi se meri nigahen is daur ke tasawwur ko chhu rahi hain

bujhi bujhi be-kason ki aahon pe bijliyon ka guman rahega

gharib insan ki KHudi ko baghawaten gudguda rahi hain

na ye jabin ab jabin rahegi na aastan aastan rahega

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHirad Bhi Na-mehrban Rahegi Shuur Bhi Sar-garan Rahega In English By Famous Poet Farigh Bukhari. KHirad Bhi Na-mehrban Rahegi Shuur Bhi Sar-garan Rahega is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem KHirad Bhi Na-mehrban Rahegi Shuur Bhi Sar-garan Rahega for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download KHirad Bhi Na-mehrban Rahegi Shuur Bhi Sar-garan Rahega in PDF.