Izhaar-e-aqidat Mein Kahan Tak Nikal Aae
izhaar-e-aqidat mein kahan tak nikal aae
hum ahl-e-yaqin wahm-o-guman tak nikal aae
shadab bahaaron ke tamannai kahan hain
mausam ke qadam zaKHm-e-KHizan tak nikal aae
ye kaisa alam hai ki gareban ho salamat
aur aankhon se KHun bhi rag-e-jaan tak nikal aae
kab niklegi diwanon ki baraat gharon se
sinon mein baghawat ke nishan tak nikal aae
maqtal mein bahattar bhi nahin nikle hain ab ke
dargahon mein sab pir-o-jawan tak nikal aae
ab to na karo rah-numaon ki shikayat
aKHbaron mein ab un ke bayan tak nikal aae
ab kaun sar-e-dar nazar aaega 'farigh'
jab ahl-e-junun sud-o-ziyan tak nikal aae
(899) Peoples Rate This