Hue Hain Sard Dimaghon Ke Dahke Dahke Alaw
hue hain sard dimaghon ke dahke dahke alaw
nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke dip jalao
kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liya hai
tasawwuraat ke dhundle charagho rah dikhao
kahan hai gardish-e-dauran kidhar hai sail-e-hawadis
sukun-e-marg-e-musalsal mein Dubne lagi naw
kabhi KHizan ke bagule kabhi bahaar ke jhule
samajh sake na zamane ke ye utar chaDhao
ajib sa hai KHarabaat ke faqihon ka fatwa
bhaDakte shoalon se tapte dilon ki pyas bujhao
hazar gardanen KHam hon bura nahin pe sitam hai
KHayal-o-fikr ki pasti nigah-o-dil ka jhukao
(819) Peoples Rate This