Hawas LuT Liye Shorish-e-tamanna Ne
hawas luT liye shorish-e-tamanna ne
hari ruton ke liye ban gae hain diwane
badalte der nahin lagti ab haqiqat ko
jo kal ki baaten hain wo aaj ke hain afsane
hai ab to qat-e-talluq ki ek hi surat
KHuda kare tu hamein dekh kar na pahchane
jo tere kuche se nikle to ek tamasha the
ajib nazron se dekha hai hum ko duniya ne
safar mein koi kisi ke liye Thaharta nahin
na muD ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne
KHizan ne dast-e-basarat ko Das liya 'farigh'
chale the qafla-e-fasl-e-gul ko Thahrane
(756) Peoples Rate This