Har Ek Raste Ka Ham-safar Raha Hun Main
har ek raste ka ham-safar raha hun main
tamam umr hi aashufta-sar raha hun main
qadam qadam pe wahan qurbaten thin aur yahan
hujum-e-shahr se tanha guzar raha hun main
pukara jab mujhe tanhai ne to yaad aaya
ki apne sath bahut muKHtasar raha hun main
ye kaisi rifaten aaina-e-nigah mein hain
kisi sitare pe jaise utar raha hun main
main raushni hi ki wahdaniyat ka qail hun
mohabbaton hi ka paigham-bar raha hun main
main shab-parast nahin hun yahi KHata hai meri
ada-shanas-e-jamal-e-sahar raha hun main
yahan bas ek naya tajraba hua 'farigh'
ki lamhe lamhe ko mahsus kar raha hun main
(922) Peoples Rate This