Dekha Tujhe To Aankhon Ne Aiwan Saja Liye

dekha tujhe to aankhon ne aiwan saja liye

jaise tamam khoe hue KHwab pa liye

jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang

sab titliyon ne aur dhanak ne uDa liye

aisi ghuTi fazaon mein kaise jiyenge wo

kuchh qafile jo aae hain taza hawa liye

in sar-phiri hawaon se kuchh aashna to hun

gahre samundaron mein na kashti ko Daliye

izhaar kijiye ki zara karb kam to ho

ai dosto dukhon ko dilon mein na paliye

KHud hi uThaen apne junun ki jarahaten

ye rog dusron ke na khate mein Daliye

pahle ye kohsar to tasKHir kijiye

'farigh' abhi falak pe kamanden na Daliye

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekha Tujhe To Aankhon Ne Aiwan Saja Liye In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Dekha Tujhe To Aankhon Ne Aiwan Saja Liye is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Dekha Tujhe To Aankhon Ne Aiwan Saja Liye for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Dekha Tujhe To Aankhon Ne Aiwan Saja Liye in PDF.