Chandni Ne Raat Ka Mausam Jawan Jaise Kiya

chandni ne raat ka mausam jawan jaise kiya

hum ne bhi chehra farozan shisha-e-mai se kiya

pas-e-KHuddari to hai lekin wafa-dushman nahin

tum ne hum par tark-e-ulfat ka guman kaise kiya

hum gunahon ki shariat se hue jab aashna

jism ne jo faisla jaise diya waise kiya

is liye ab Dubne ke KHauf se hain be-niyaz

hum ne aaghaz-e-safar dariyaon ki tah se kiya

raushni apni luTai hum ne suraj ki tarah

andhi raaton mein ujala mashal-e-lai se kiya

jab shuur aaya to 'farigh' wusat-fan ke liye

istifada hum ne duniya ki har ek shai se kiya

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chandni Ne Raat Ka Mausam Jawan Jaise Kiya In English By Famous Poet Farigh Bukhari. Chandni Ne Raat Ka Mausam Jawan Jaise Kiya is written by Farigh Bukhari. Read famous Poem Chandni Ne Raat Ka Mausam Jawan Jaise Kiya for youth and Student by Farigh Bukhari. Free Download Chandni Ne Raat Ka Mausam Jawan Jaise Kiya in PDF.