Lakh Rahe Shahron Mein Phir Bhi Andar Se Dehati The
lakh rahe shahron mein phir bhi andar se dehati the
dil ke achchhe log the lekin thoDe se jazbaati the
ab bhi akasr KHwab mein un ke dhundle chehre aate hain
meri guDiya ki shadi mein jo nanhe baraati the
apne gird lakiren khinchin aur phir in mein qaid hue
is duniya mein jitne khel the sare hi tabqati the
jhonpaDiyon mein rahne wale un ki fitrat jaan gae
kabhi kabhi chaDh aane wale nale jo barsati the
jis baadal ne sukh barsaya jis chhanw mein prit mili
aankhen khol ke dekha to wo sab mausam lamhati the
jin ko baDa mana tha main ne 'farhat' wo kyun bhul gae
kuchh goshe mere jiwan ke bilkul mere zati the
(1027) Peoples Rate This