Aurat Hun Magar Surat-e-kohsar KhaDi Hun
aurat hun magar surat-e-kohsar khaDi hun
ek sach ke tahaffuz ke liye sab se laDi hun
wo mujh se sitaron ka pata puchh raha hai
patthar ki tarah jis ki anguThi mein jaDi hun
alfaz na aawaz na hamraaz na dam-saz
ye kaise dorahe pe main KHamosh khaDi hun
is dasht-e-bala mein na samajh KHud ko akela
main chob ki surat tere KHeme mein gaDi hun
phulon pe barasti hun kabhi surat-e-shabnam
badli hui rut mein kabhi sawan ki jhaDi hun
(1306) Peoples Rate This