Ye Zamin KHwab Hai Aasman KHwab Hai
ye zamin KHwab hai aasman KHwab hai
ek makan hi nahin la-makan KHwab hai
jaan-lewa sahi justuju ki thakan
par sahaara diye ek jawan KHwab hai
us ki aankhon mein apnaiyat ki chamak
meri aankhon ka ek be-aman KHwab hai
TuT jae to kuchh bhi nahin koi bhi
jis ke dam se hain donon jahan KHwab hai
chilchilati hui waqt ki dhup mein
sath ek saya-e-mehrban KHwab hai
tu sarab-e-hasin main fareb-e-nazar
pyar tera meri jaan-e-jaan KHwab hai
shadi-e-be-panah ka sabab hai magar
wajh-e-ah-o-fughan bhi miyan KHwab hai
zindagi ke kaThin jangalon mein mera
har qadam rahbar pasban KHwab hai
jaan-e-'shahzad' tanhaiyan hain aTal
aur baqi ka ye karwan KHwab hai
(1257) Peoples Rate This