Nahin Hai Ab Koi Rasta Nahin Hai
nahin hai ab koi rasta nahin hai
koi juz aap ke apna nahin hai
har ek raste ka patthar puchhta hai
tujhe kya kuchh bhi ab dikhta nahin hai
ajab hai raushni tarikiyon si
ki main hun aur mera saya nahin hai
parastish ki hai meri dhaDkanon ne
tujhe main ne faqat chaha nahin hai
main shayad tere dukh mein mar gaya hun
ki ab sine mein kuchh dukhta nahin hai
luTa di maut bhi qadmon pe tere
bacha kar tujh se kuchh rakkha nahin hai
qayamat hai yahi idrak-e-jaanan
main us ka hun ki jo mera nahin hai
meri baaten hain sab baaten tumhaari
mera apna koi qissa nahin hai
tujhe mahsus bhi main kar na paun
andhera hai magar itna nahin hai
ba-juz 'nitu' ki yaaden ab jahan mein
koi 'shahzad'-ji tera nahin hai
(1858) Peoples Rate This