Main Apne-ap Se Barham Tha Wo KHafa Mujhse
main apne-ap se barham tha wo KHafa mujh se
sukun se kaise guzarta ye rasta mujh se
ghazal suna ke kabhi nazm gunguna ke meri
wo kah raha tha mere dil ka majra mujh se
guzar ke waqt ne gunga bana diya tha jinhen
wo lafz mang rahe hain nai sada mujh se
na gul ki koi KHabar hai na baat gulshan ki
KHafa si lagti hai kuchh roz se saba mujh se
wo jis ne KHwab mere pal mein qatl kar Dale
KHiraj mangne aaya hai KHun ka mujh se
niyaz-mand raha main bhi us ka sab ki tarah
ki koi bhanp na le us ka silsila mujh se
aziz mujh ko hain tufan sahilon se siwa
isi liye hai KHafa mera naKHuda mujh se
na jaane kaun si mahfil mein kis ke sath hun main
hai munqat'a mera apna bhi rabta mujh se
bas ek bar nazar bhar ke main ne dekha tha
nazar mila na saka phir wo be-wafa mujh se
(1264) Peoples Rate This