Jab Tak Charagh-e-sham-e-tamanna Jale Chalo
jab tak charagh-e-sham-e-tamanna jale chalo
do-chaar hi qadam hai ye rasta chale chalo
is had ke baad koi nahin darmiyan mein had
tai kar chuke ho aur jo sab marhale chalo
be-KHwab KHun-ankh mein dafna ke zaKHm-e-KHwab
milne ko hai sahar se ye shab bhi gale chalo
shayad wo DhunDhta ho tumhein jis ki khoj hai
chehre pe jazb-e-dil ke ujale male chalo
hain baadban shikasta muKHalif hawa magar
jab tak na dil mein aas ka suraj Dhale chalo
phir kaun naz us ke uThaega bazm mein
tanhaiyon ko apne hi ham-rah le chalo
aankhon mein KHwab aag ragon mein jawan azm
'shahzad' ab kahan hain wo sab silsile chalo
(1002) Peoples Rate This