Humse Tanhai Ke Mare Nahin Dekhe Jate
hum se tanhai ke mare nahin dekhe jate
bin tere chand sitare nahin dekhe jate
haarna din ka hai manzur magar jaan-e-aziz
hum se gesu tere haare nahin dekhe jate
dil phansa bhi ho bhanwar mein to koi baat nahin
ranj mein Dubte pyare nahin dekhe jate
jin ke pairon mein samundar the jhukae nazren
un ki aankhon mein kinare nahin dekhe jate
chhin le meri samaat ki basarat ya-rab
un labon par mere nare nahin dekhe jate
jin ki aahaT se bandhi thi mere dil ki dhaDkan
un nigahon ke ishaare nahin dekhe jate
tur patthar tha mere dil ko dikha apni jhalak
phir ye kahna ki nazare nahin dekhe jate
mah-e-kaamil bhi jise dekh ke sajde mein gire
aankh mein us ki sitare nahin dekhe jate
(1175) Peoples Rate This