Do Jhuki Aankhon Ka Pahuncha Jab Mere Dil Ko Salam

do jhuki aankhon ka pahuncha jab mere dil ko salam

yun laga hai dopahar mein jaise dar aai ho sham

us ke honTon ka kiya jab zikr mere sher ne

har samaat ke labon se ja laga labrez jam

jaise sajde mein koi gir kar na uTThe der tak

yun giri aankhon pe palken sun ke ek kafir ka nam

dukh kisi ka ho use dhaDkan mein apni sinch le

kis ne saunpa hai mere dil ko ye pagal-pan ka kaam

ab to ji mein hai ki har dukh par lagaun qahqaha

ho gai hain shahr mein aansu-bhari aankhen to aam

harf jaise ho gae sare munafiq ek dam

kaun se lafzon mein samjhaun tumhein dil ka payam

is qadar jaldi bhi kya 'shahzad' thi aaKHir bata

kya bigaDta sath gar tu aur chalta chand gam

(1023) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Do Jhuki Aankhon Ka Pahuncha Jab Mere Dil Ko Salam In English By Famous Poet Farhat Shahzad. Do Jhuki Aankhon Ka Pahuncha Jab Mere Dil Ko Salam is written by Farhat Shahzad. Read famous Poem Do Jhuki Aankhon Ka Pahuncha Jab Mere Dil Ko Salam for youth and Student by Farhat Shahzad. Free Download Do Jhuki Aankhon Ka Pahuncha Jab Mere Dil Ko Salam in PDF.