Aankh Ko JakDe The Kal KHwab Azabon Ke
aankh ko jakDe the kal KHwab azabon ke
main sairab khaDa tha bich sarabon ke
tujh ko kho kar mujh par wo bhi din aae
chhup na saka dukh pichhe kai naqabon ke
fikr ka tan kab Dhanp saki mad-hoshi tak
chhoD diye nashshon ne hath sharabon ke
umr inhi ke sath guzari hai jaanan
zaKHm mujhe lagte hain phul gulabon ke
ek sawal ne jab se mujh ko pahna hai
sharminda hain sare rang jawabon ke
kis se puchhun main rasta ab tujh ghar ka
munh takte hain KHali waraq kitabon ke
jaane phir kab waqt ye pal dohraega
lag ja sine toD ke band hijabon ke
mulk mein mere amn ki KHwahish jaan-e-man
bakri jaise bich mein sau qassabon ke
KHatm nahin 'shahzad' faqat tujh par taKHliq
hum bhi pyare KHaliq hain kuchh KHwabon ke
(1150) Peoples Rate This