Tha Pa-shikasta Aankh Magar Dekhti To Thi
tha pa-shikasta aankh magar dekhti to thi
mana wo be-amal tha magar aagahi to thi
ilzam-e-narasi se mubarra nahin thi sip
lekin kisi ke shauq mein Dubi hui to thi
mana wo dasht-e-shauq mein pyasa hi mar gaya
ek jhil justuju ki pas-e-tishnagi to thi
ehsas par muhit the lafzon ke daere
lafzon ke daeron mein magar zindagi to thi
viran tha sehn-e-bagh magar is qadar na tha
kone mein sukhe patton ki mahfil jami to thi
gham dur kar ke aur bhi mafluj kar diya
tanhaiyon ki raat mein dil-bastagi to thi
is ThanDi raat mein to andhere ka raj hai
suraj jala raha tha magar raushni to thi
(765) Peoples Rate This