Shuur-o-fikr Ki Tajdid Ka Guman To Hua

shuur-o-fikr ki tajdid ka guman to hua

chalo ki fan ka ufuq kisht-e-zafran to hua

bala se le uDi mujh ko shua-e-nur-e-sahar

fasil-e-shab se guzar kar main be-karan to hua

ye kam nahin hai ki main hun KHalaon ka hamraaz

mere wajud mein gum sara aasman to hua

ye Thik hai ki fana ho gaya wajud us ka

magar wo qatra samundar ka raaz-dan to hua

tamam harf-o-nawa mein simaT gaya lekin

hamara gham bhi bikhar kar gham-e-jahan to hua

junun-e-shauq to maslub ho gaya lekin

har ek lamha mah-o-sal par garan to hua

hamare sath hi bikhra hamari zat ka karb

ye raaz lafzon ke ambar se ayan to hua

main un ke samne aaina ban gaya 'farhat'

KHud apni shakl pe un ko mera guman to hua

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shuur-o-fikr Ki Tajdid Ka Guman To Hua In English By Famous Poet Farhat Qadri. Shuur-o-fikr Ki Tajdid Ka Guman To Hua is written by Farhat Qadri. Read famous Poem Shuur-o-fikr Ki Tajdid Ka Guman To Hua for youth and Student by Farhat Qadri. Free Download Shuur-o-fikr Ki Tajdid Ka Guman To Hua in PDF.