Koi DhaDkan Koi Uljhan Koi Bandhan Mange
koi dhaDkan koi uljhan koi bandhan mange
har-nafas apni kahani mein naya-pan mange
dasht-e-afkar mein hum se nae mausam ka mizaj
bijliyan tinkon ki shoalon ka nasheman mange
raat-bhar galiyon mein yaKH-basta hawaon ki sada
kisi khiDki ki sulagti hui chilman mange
zahr sannaTe ka kab tak piye sahra-e-sukut
ret ka zarra bhi aawaz ki dhaDkan mange
kali raaton ke jahannam mein badan sukh gaya
daman-e-subh ki ThanDak koi birhan mange
habs wo hai ki nazaron ka bhi dam ghuTta hai
koi sondhi si mahak ab mera aangan mange
zindagi jin ke tasadum se hai zaKHmi 'farhat'
dil unhin TuTe hue sapnon ka darpan mange
(929) Peoples Rate This