Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain
jitne log nazar aate hain sab ke sab begane hain
aur wahi hain dur nazar se jo jaane-pahchane hain
zanjiron ka bojh liye hain be-diwar ke zindan mein
phir bhi kuchh aawaz nahin hai kaise ye diwane hain
bach bach kar chalte hain har-dam shishe ki diwaron se
kaun kahe diwana un ko ye to sab farzane hain
KHud hi bujha dete hain shamen raushniyon se ghabra kar
is mahfil mein ai logo kuchh aise bhi parwane hain
sayyaadon ne gul-chinon ne gulshan ko taraj kiya
lekin hum diwanon se aabaad abhi virane hain
un ka gham hai apna gham hai apne parae sab ka gham
shahr-e-wafa mein phir bhi 'farhat' aur kai gham-KHane hain
(793) Peoples Rate This